Qayamat ki Nishaniyan Series: Part 1
Qayamat ki Nishaniyan Series: Part 1
Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-1
PAGE: 1
1. Barish ke Qatron ki tarah Fitne Nazil honge
۞ Hadees: Hazrat Umme Salma (R.A) farmati hai ke ek raat Rasool Kareem (ï·º) ghabra ke uthey aur farmaya: Subhan Allah kis qadar khazaney aur Fitney Allah ki taraf se nazil kiye gaye hain? hujray walion (Azwaaj e Rasool ï·º) ko koun uthaye ga ta ke wo Namaz perhien?.
📕 Sahih Bukhari Kitab ul Fitan 7069
۞ Hadees: Hazrat Usama (R.A) farmatey hain ke Nabi (ï·º) Madina ke kisi Unchey maqan per charhey phir farmaya: kya tum bhi dekh rahe ho jo Main dekh raha hu? (Sahaba (R.A) ne kaha: Nahi Allah ke Rasool! tou Aap (ï·º) ne farmaya: bila shuba main barish ke qatron ki tarah tumhare gharon ke darmayan Fitney girtay huwey dekh raha hon.
📕 Sahih Muslim Kitab ul Fitan 7245
PAGE: 2
2. Hazrat Umar (R.A) Fitno ke Aagey Darwaza hain
۞ Hadees: Hazrat Huzaifa (R.A) se marvi hai ke Umer bin Khattab (R.A) ne pucha ke fitno ke baray mein Allah ke Rasool (ï·º) ke farameen kis ko yad hein? Hazrat Huzaifa (R.A) ne jawab dia ke muje wo maano yaad hain. Umer (R.A) ne kaha: Paish karo tum waqai Zuratmand ho. kaha ke Allah ke Rasool (ï·º) ne farmaya:
"Aadmi ke Ahlo Ayaal aur Maalo Doulat is ke liye Fitna hain jo isey Namaz, Zakat, Amar bil Maroof aur Nahi an almunkir jaisay Amaal se roktey hain."
Umer (R.A) ne kaha: main is Fitney ke baray mein nahi puchta, main tou is Fitney ke baray mein puchta hun jo Samandar ki mojon ki tarah umadta chala ayega.
Huzaifa (R.A) ne kaha Ameer ul Momineen! Aap ko tou is Fitney se pareshan nahi hona chahiye kyon ke Aap ke aur is Fitney ke darmiyan ek band darwaza hai.
Umer (R.A) ne kaha: wo darwaza khola jaye ga ya toda jaye ga? Main ne kaha: toda jaye ga. kaha: phir yaqeenan isey band nahi kiya ja sakega? Main ne kaha: ji haan.
Hum ne Huzaifa (R.A) se pucha kya Umar (R.A) is darwazay ke mutaliq jantey they?
farmaya: haan! jis tarah muje yaqeen he ke kal se pehle raat ayegi kyon ke maine aisi baat bayan ki thi jo bebuniyad nahi thi. hume in se yeh puchney me dar laga ke wo darwaza koun hai? chunache hum ne masrooq (tabee) se kaha (ke wo puchien) jab unhone pucha ke wo darwaza koun tha? tou Unhone jawab dia: wo darwaza Umer (R.A) they.
📕 Sahih Bukhari Kitab ul Fitan 7096
Note: Qayamat ki yeh Nishani bhi puri ho chuki hai. Ummat e Muslima ko Hazrat Umar (R.A) ki Shahadat ke baad jin fitno ka samna karna pada wo Aaj tak chal rahey hain.
PAGE: 3
3. Mashriq se Shaitan ka Seengh Namudar hoga
۞ Hadees: Hazrat Abdullah bin Abbas (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ï·º) ne Dua mangi: Ya Allah! humare Saa'a aur Mad me Barkat farma, Ilahi! humare Yaman o Shaam me Barkat farma.
logon me se Ek Aadmi ne kaha: Aye Allah ke Nabi (ï·º)! humare iraq ke liye bhi (Dua karein).
Aap (ï·º) ne farmaya: "Wahan se Shaitan ka Seengh Namudar hoga aur Fitney Ubliengey, bila shuba Jor-o-Jafa Mashriq me hai."
📕 Al Mu'jam al Kabeer 13422
📕 Majma al Zawaid 308/3
📕 Mukhtasir al Targheeb 87
PAGE: 4
4. Qayamat se pehle khoob khoonraizi hoga
۞ Hadees: Hazrat Abu Musa (R.A) farmatey hain ke RasoolAllah (ï·º) ne irshad farmaya: Qayamat se pehle khoob khoonraizi hoga.
Sahaba (R.A) ne kaha: hum tou Ek Saal me 70 hazar ko Qatal kerte hai tou kya is se bhi zyada kasht-o-khoon hoga?
Aap (ï·º) ne farmaya: Wo tumhara Mushrikon ko Qatal karna nahi hoga balkay tum aapas me khoon raizi karogey.
Sahaba (R.A) ne kaha: kya is waqt humare hosh o hawaas qayam hongey?
farmaya: "is din logon ki Aqlein cheen li jayengi aur wo samjhienge ke hum kis cheez (haq) per hain halankein aisa nahi hoga."
📕 Musnad Ahmad 557-569/4
📕 Ibne Majah 4007
۞ Hadees: Ek riwayat me yeh izafa hai ke Admi apne humsaye, Apne Bhai, Chacha aur Bhateejay ko Qatal kerne se daraigh nahi karay ga.
📕 Musnad Ahmad 410/4
PAGE: 5
5. Muslaman aapas me Qatal-o-Gharat karenge
۞ Hadees: Hazrat Abu Soban (R.A) farmatey hain ke RasoolAllah (ï·º) ne farmaya:
“Beshaq main ne apne Rab se sawal kia: Ya Rab! meri ummat ko (Majmoee taur per) Qahatsaali se Halaq na kerna, inn per koi aisa Ghair Muslim dushman musallat na ho jo inn ki markaziyat ko bilkul Nest-o-Nabood kar de."
Allah Ta’ala ne farmaya: "Aye Muhammad (ï·º) ! mere faislon mein koi Raddo-Badal nahi ho sakta, maine Aap ki apni ummat ke haq me yeh Dua qabool kar li hai ke inhe Qahatsaali se halaq nahi karunga aur na inn per koi Ghair Muslim dushman musallat karunga jo inn ki Jarien ukhar phankey, khuwah wo chunki inn (Musalmano) per hamla awar ho jaye albata yeh aapas me Qatal-o-Gharat karenge aur ek dusre ko Qaidi (tak) bana lenge.”
📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2889
PAGE: 6
6. Khuwarij ka zahoor
۞ Hadees: Hazrat Abu Saeed (R.A) farmatey hain ke Nabi Kareem (ï·º) (Maal) taqseem farma rahey they ke Abdullah bin Zil Khuwaisra tameemi aaya aur kaha ya RasoolAllah (ï·º) ! insaf kijiye.
Aap (ï·º) ne farmaya: Afsos agar main insaf nahi karunga tou phir koun kareyga?
is per Umer (R.A) ne kaha mujhe ijazat dijiye ke main is ki Gardan maar du.
Aap (ï·º) ne farmaya: Nahi is ke kuch aisey sathi hongy jin ki Namazon aur Rozon ke samne tum apni Namazon aur Rozey ko haqeer samjhogey lekin wo Deen se is tarah bahar ho jayengey jis tarah teer janwar me se bahar nikal jata he, agar teer ke par, paikaan baar aur lakri ko dekha jaye tou kaheen koi nishaan (khoon) nazar nahi aata, Kyonke wo (janwar ke) leed, gobar aur khoon sab se aagey (bedagh) nikal gaya.
(isi tarah wo log saaf Islam se nikal jayenge) in ki nishani ek mard hoga jis ka ek hath Aurat ki chati ki tarah ya yun farmaya ke gosht ke thal thal kertay lothrey ki tarah hoga. yeh log Musalmano ke intshaar ke waqt paida hongey.
📕 Sahih Bukhari 6933
۞ Hadees: Abu Saeed (R.A) farmatey hain ke main gawahi deta hu ke yeh hadees main ne Huzoor Nabi Kareem (ï·º) se suni hai aur main gawahi deta hu ke Hazrat Ali (R.A) ne (Nehrwaan me) in se Jung ki thi aur main is jung me in ke sath tha. in logon me se ek banda Qaidi bana kar laya gaya tou is me man-o-aan wohi cheezien thi jo Nabi (ï·º) ne bayan farmai thi.
PAGE: 7
7. Maal aur Khazane ba’qasarat Hasil honge
۞ Hadees: Jabir bin Samra (R.A) farmatey hain ke Allah ke Rasool (ï·º) ne irshad farmaya: Yeh Deen Qayam raheyga hatta ke Quraish se 12 khulafa hongey, phir Qayamat se pehle jhootey zahir hongey. Musalmano ki ek badi Jamat kisra ke Safaid khazaney haasil kar legi.
📕 Sahih Muslim kitab ul imara 1822
۞ Hadees: Hazrat Soban (R.A) se marvi hai ke RasoolAllah (ï·º) ne irshad farmaya: Allah Ta’ala ne mere liye Zameen ko sukaid dia tou Main ne Zameen ke Mashriq o Maghrib (tak) ko dekha hai. bilashuba Meri Ummat ki hakumat wahan tak pohancheygi jahan tak muje mushahda karaya gaya hai aur mujhe surkh o safaid (sona, chandi) do khazaney bhi ata kiye gaye hain.
📕 Sahih Muslim Kitab ul Fitan 2889
PAGE: 8
8. Bait ul Maqdas ki Fatah
۞ Hadees: Hazrat Aof bin malik (R.A) se marvi hai ke Nabi Kareem (ï·º) ne irshad farmaya: Qayam e Qayamat ki 6 nishanian shumar kar lo.
(1). Meri Maut, (2). Bait ul Maqdas ki fatah, (3). phir ek waba jo tum me shiddat se phailegi jaisay bakrion me taoon phail jata hai, (4). phir maal ki kasrat iss darje me hongi ke ek shakh 100 dinaar bhi agar kisi ko dega tou wo is per bhi naraz hoga, (5). phir fitna itna tabah kum aam hoga ke Arab ka koi ghar baaki na rahega jo is ki lapait me na aa gaya ho.
(6). phir sulah jo tumhare aur bani aal asfar (room ke Issai) ke darmayan hongi lekin wo dagha kariengey aur ek azeem lashker ke sath tum per charhai karienge. is me 80 jhandey hongey aur har jhandey ke niche 12,000 fauj hogi.
📕 Sahih Bukhari kitab ul jaziya 3176
Note: Bait ul Maqdas, Yahood o Nasara ke Zair e control tha jo Mulk phalestine me Waqia hai. islam ke ibtadai dour me Nabi (ï·º) bait ul maqdas ki taraf rukh kar ke Namaz perhte they phir Allah Ta’ala ne baitullah ko mustaqil qibla bana dia.
Aap (ï·º) ki paishangoyi Hazrat Umar (R.A) ke dour e khilafat 18 hijri me puri hui aur Musalmano ne Bait ul Maqdas Yahood o Nasara se Aazad kerwa lia. 1099 me Saleebion ne bharpoor yalgharon ke sath bait ul maqdas musalmano se cheen lia phir taqreeban 90 saal baad 1187 me Sultan Salah u Deen Ayubi (R.H) ne paiham marka arraiyon ke baad Bait ul Maqdas Saleebion se azad kerwa lia magar afsos ke ab Bait ul Maqdas, yahoodion ke qabzay me hai aur Qayamat ke qareeb jab imam mehdi (R.A) aur Hazrat Isa (Alaihi Salam) ka zahoor hoga is waqt wo bazor shamsheer isey dobara azad kerwayenge.
PAGE: 9
9. Taoon (plague) ki waba phailegi
۞ Hadees: Hazrat Salma bin Nafeel (R.A) farmati hain ke ek martaba hum Allah ke Rasool (ï·º) ke paas tashreef farma they ke ek aadmi ne pucha: ya Rasool Allah! kya Aap ke paas kabhi aasman se khana aaya hai?
farmaya haan, kaha: kaisay?
farmaya: chotey bartan mein.
kaha: kya is me se kuch baaki bacha?
farmaya: haan
kaha: wo kahan hai?
farmaya: isey dubara utha lia gaya aur meri taraf wahi nazil hui ke main tumhare darmiyan humesha nahi rahunga balkey faut kar lia jaunga aur mere baad tum (Sahaba) bhi kuch der zinda rahoge. tum (musalmano ki) Jamatein dekhogey jo aapas me Qatalo Gharat kareinge aur Qayamat se pehle "Maut" phailegi jo badi shiddat se (har taraf) phail jayegi is ke baad Zalzalon waley saal hongey.
📕 Masnad Ahmad 145/4
📕 Sunan Darmi 43/1
PAGE: 10
10. Imandari kum aur khayanat bharpoor hogi
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Rasool Kareem (ï·º) apni majlis me logon se guftugu farma rahe they ke ek deehati aaya aur kehne laga: aye Allah ke Rasool (ï·º) ! Qayamat kab ayegi? Aap (ï·º) ne farmaya jab imanat (imandari) zaya ki jaye tou Qayamat ka intzar karna. is ne kaha: imanat ka zayaa kaise hoga? farmaya: jab kaam na ahal logon ke supurd kar diye jayen tou Qayamat ke Muntazir raho(intezar karo).
📕 Sahih Bukhari kitab ul riqaaq 6496
۞ Hadees: Hazrat Huzaifa (R.A) farmatey hai ke Allah ke Rasool (ï·º) ne hume 2 hadeesien bayan farmayen jin mein ek ka zahoor tou mein dekh chuka hon aur dosri ka muntazir hun,
Rasool Allah (ï·º) ne hum se farmaya: ke imanat logon ke dilon ki gehraiyon me utarti hai phir Quran majeed aur hadees shareef sey is ki mazbooti ho jati hai aur Aap (ï·º) ne (dusri hadees me) imanat ke uth janay ke mutaliq farmaya ke aadmi ek martaba soye ga aur (isi me) imanat is ke dil se khatam ho jayegi aur isme beyimani ka halka sa dagh par jayega.
phir ek martaba soyega tou wo dagh chaley ki tarah ho jaye ga jis tarah tum paon per angara phanko tou is se ek phula hua chala sa nikal aata haiy jo ander se khali hota haiy. phir yeh haal hoga ke log khareed o farokht karienge aur koi shakhs imanatdaar nahi hoga.
kaha jayega ke falaan logon me ek imanat dar shakhs hai. is ke mutaliq yeh bhi kaha jayega ke wo kitna aqalmand, buland housla aur buhadar hai halankay is ke dil me rayii barabar bhi iman (imanat) nahi hoga.
(Hazrat Huzaifa (R.A) farmatey hain ke) main ne ek aisa waqt bhi dekha ke main khareed o farokht bila khauf o khatar kiya karta tha agar wo (tajir) musalman hota tou is ka islam isey (beyimani se) rokta aur agar wo essai hota tu is ka madadgar isey rokta tha lekin ab (beyimani ke barh jane ki wajah se) main falaan aur falaan ke siwa kisi se khareed o farokht hi nahi karta.
📕 Sahih Bukhari kitab ul riqaaq 6497
۞ Hadees: Hazrat Abdullah bin Umer (R.A) farmatey hai ke logon ki misaal unton ki se hai ke 100 mein se ek bhi (taiz) sawari ke qabil nahi milta.
📕 Sahih Bukhari kitab ul riqaq 6498
۞ Hadees: Hazrat Mardas aslami (R.A) farmatey hai ke Rasool Allah (ï·º) ne farmaya: naik log ek ke bad deegray rukhsat hotey jayenge aur fazul log baqi reh jayenge jis tarah jo ka bhoosa ya raddi khajoor baki reh jati hai. Allah Ta’ala in (fazool logon) ki kuch parwah nahi karienga.
📕 Sahih Bukhari 6434
۞ Hadees: Ek riwayat mein hai:
Aap (ï·º) ne apne dono hathon ki unglion ko baham mila kar farmaya ke is tarah in ke wadey aur Imanatien khalat malat ho kar reh jayengi. (Ibne Umer R.A) Sahabi ne pucha: ya RasoolAllah (ï·º)! phir hume kya kerna chahiye?
Farmaya: tum Allah se daro Neki ka kaam karo aur Burai se door raho aur logon ko chor kar bilkhusoos apni fikar karo.
📕 Masnad Ahmad 216/2
📕 Abu Dawood Kitab ul Malahim 4335
۞ Hadees: Hazrat Abdullab bin Umro (R.A) farmatey hai ke Allah ke Rasool (ï·º) ne irshad farmaya: Qayamat qayem na hogi hatta ke bey hayai aam ho jayegi, qata rehmi phail jayegi, hamsaye burey hongey, khayanat karnewalo ko imanatdar samjha jayega aur imanatdaar khayanat karne lageyga.
📕 Masnad Ahmad 263-217/2
📕 Hakim 559/4
Note: imanat dari ka khatma Qayamat ki ek nishani hai jis ka zahoor arsa daraz se ho chuka hai.hakumat, imarat o khilafat, intazamiya, adliya aur her zimadari per ghair zimadar logon ko faiz kernaQayamat ki nishani hai. Har taraf chori, dakey aur kameenay aur lalchi kisam ke logon ka hona bhi isi zumray mein ata haiy.
Moujuda daur me her khayen o bad kirdar sayadat o qayadat aur uhdey ka talib hai halankay ohda ek zimadari aur imanat hai jis ka haqdar sirf or sirf wo naik aur imanatdar shakhs hai jisay her waqt Allah ke huzoor jawab dahi ka ihsas mojzan rahay. ilawa azain wo kisi uhday ka talib u mutmani hargiz na ho kyon ke Rasool Kareem (ï·º) ne irshad farmaya:
۞ Hadees: Allah ki qasam hum hargiz aise shakhs ko uhda nahi sonptay jo is ka talib ya harees ho. (Ek riwayat me hai ‘jo is ka irada rakhta ho.’)
📕 Sahih Bukhari kitab ul ihkam 7149
To be Continued ...
Courtesy © Ummat-e-Nabi.com
Comments
Post a Comment