2. Hazrat Umar (R.A) Fitno ke Aagey Darwaza hain
۞ Hadees: Hazrat Huzaifa (R.A) se marvi hai ke Umer bin Khattab (R.A) ne pucha ke fitno ke baray mein Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke farameen kis ko yad hein? Hazrat Huzaifa (R.A) ne jawab dia ke muje wo maano yaad hain. Umer (R.A) ne kaha: Paish karo tum waqai Zuratmand ho. kaha ke Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:
"Aadmi ke Ahlo Ayaal aur Maalo Doulat is ke liye Fitna hain jo isey Namaz, Zakat, Amar bil Maroof aur Nahi an almunkir jaisay Amaal se roktey hain.
Umer (R.A) ne kaha: Main is Fitney ke baray mein nahi puchta, main tou is Fitney ke baray mein puchta hun jo Samandar ki mojon ki tarah umadta chala ayega. Huzaifa (R.A) ne kaha Ameer ul Momineen! Aap ko tou is Fitney se pareshan nahi hona chahiye kyon ke Aap ke aur is Fitney ke darmiyan ek band darwaza hai.
Umer (R.A) ne kaha: wo darwaza khola jaye ga ya toda jaye ga? Main ne kaha: toda jaye ga. kaha: phir yaqeenan isey band nahi kiya ja sakega? Main ne kaha: ji haan.
Hum ne Huzaifa (R.A) se pucha kya Umar (R.A) is darwazay ke mutaliq jantey they? farmaya: haan! jis tarah muje yaqeen he ke kal se pehle raat ayegi kyon ke maine aisi baat bayan ki thi jo bebuniyad nahi thi. hume in se yeh puchney me dar laga ke wo darwaza koun hai? chunache hum ne masrooq (tabee) se kaha (ke wo puchien) jab unhone pucha ke wo darwaza koun tha? tou Unhone jawab dia: wo darwaza Umer (R.A) they.
Note: Qayamat ki yeh Nishani bhi puri ho chuki hai. Ummat e Muslima ko Hazrat Umar (R.A) ki Shahadat ke baad jin fitno ka samna karna pada wo Aaj tak chal rahey hain.
Comments
Post a Comment