10. Imandari kum aur khayanat bharpoor hogi | Qayamat Ki Nishanian by Ummat-e-Nabi.com
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Rasool Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) apni majlis me logon se guftugu farma rahe they ke ek deehati aaya aur kehne laga: Aye Allah ke Rasool Sallallahu Alaihay Wasallam! Qayamat kab ayegi? Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya jab imanat (imandari) zaya ki jaye tou Qayamat ka intzar karna. is ne kaha: imanat ka zayaa kaise hoga? farmaya: jab kaam na ahal logon ke supurd kar diye jayen tou Qayamat ke Muntazir raho(intezar karo). Sahih Bukhari kitab ul riqaaq 6496 ۞ Hadees: Hazrat Huzaifa (R.A) farmatey hai ke Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne hume 2 hadeesien bayan farmayen jin mein ek ka zahoor tu mein dekh chuka hon aur dosri ka muntazir hun, Rasool Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne hum se farmaya: ke imanat logon ke dilon ki gehraiyon me utarti hai phir Quran majeed aur hade...