Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-7
Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-7 Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-7 51. Qustuntunia (istanbul) ki fatah Hazrat Basheer Khat'ami (R.A) se mairvi hai ke Unho ne Nabi Kareem (ﷺ) ka yeh irshad garami suna: “Tum zaroor Qustuntunia fatah karoge aur (us waqt) wo ameer behtareen ameer hoga aur wo lashker bhi bahtareen hoga.” 📕 Masnad amad 451/4 📕 Hakim 468/4 Ibne Umro (R.A) farmatey hai ke Rasool Allah (ﷺ) se pucha gaya ke Qustuntunia aur rooma mein se konsa mulk pehle fatah hoga? Aap (ﷺ) ne farmaya “Harqal ka ilaka yani Qustuntuniya pehle fatah hoga.” 📕 Masnad Ahmad 234/2 📕 Sunan darmi 137/1 Hazrat Muaaz (R.A) farmatey hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya: “Bait ul Maqdas ki aabadi yasrab (madina) ki barbadi (ka paish khaima) hai, Madina ki barbadi jangon ka aaghaz hai, jangon ka aaghaz Qustuntuniya ki fatah hai aur Qustuntuniya ki fatah Dajjal ka khurooj (ka ailaan) hai. ” Phir Aap (ﷺ) ne is (Muaz R.A) ke kandhey ya Raan par hath mar kar far...